Friday, September 17, 2010
Faiz Ahmed Faiz
Khudaa wo waqt na laaye ki soGawaar ho tuu
sukuun kii neend tujhe bhii haraam ho jaaye
terii masarrat-e-paiham tamaam ho jaaye
terii hayaat tujhe talKh jaam ho jaaye
Gamon se aaiinaa-e-dil gudaaz ho teraa
Hujuum-e-yaas se betaab hoke rah jaaye
wafuur-e-dard se siimaab ho ke rah jaaye
teraa shabaab faqat Khwaab ho ke rah jaaye
Guruur-e-husn saraapaa niyaaz ho teraa
tawiil raaton men tuu bhii qaraar ko tarase
terii nigaah kisii Gam_gusaar ko tarase
Khizaan_rasiidaa tamannaa bahaar ko tarase
koii jabiin na tere sang-e-aastaan pe jhuke
ki jins-e-ijz-o-aqiidat se tujh ko shaad kare
fareb-e-waadaa-e-farda pe aetamaad kare
Khudaa wo waqt na laaye ki tujh ko yaad aaye
wo dil ki tere liye be-qaraar ab bhii hai
wo aankh jis ko teraa intazaar ab bhii hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment