Thursday, August 18, 2011
Game Not Over Yet!!!
No dought that our loyal country Pakistan that came into being after tons of sacrifices given by our elders, is fighting for its survilance and this fight of existance is having negative effects on our already stumbling Economy, education, health and other walks of life. . . But wait it's not over yet..,it's quite eaisly recoverable all it needs is a Leadership, a real leadership capable of taking harsh looking but necessory steps. . . . Some of which may be: 1) The basic priority should be given (infact must be given) to the education. If one think over the role of doctors, engineers, scientists, artists, journalists, beurocrates etc etc , all of them has a key role to play in the prosperity of a country. . But where from they comes???? The Educational system, if the system is not upto the standards then all of these proffessionals will be unable to play their key roles, which is unfortunatly the case in our country..
Wednesday, January 12, 2011
subh kii aaj jo rangat hai vo pahle to na thii
Subh kii aaj jo rangat hai vo pahle to na thii
Kyaa Khabar aaj KhiraamaaN sar-e-gulzaar hai kaun
Shaam gulzaar hu’ii jaatii hai dekho to sahii
ye jo niklaa hai liye mash’al-e-ruKhsaar, hai kaun
Raat mahkii hu’ii aayii hai kahiiN se puucho
Aaj bikraaye hu’e zulf-e-tarahdaar hai kaun
Phir dar-e-dil pe dene lagaa hai ko’ii dastak
Jaane phir dil-e-vahshii kaa talabgaar hai kaun

Friday, January 7, 2011
Dono jahaan terii muhabbat meN haar ke
Dono jahaan terii muhabbat meN haar ke
Vo jaa rahaa hai koii shab-e-Gham guzaar ke
ViiraaN hai maikadaa Khum-o-saaGhar udaas hai
Tum kyaa gaye ke ruuTh gaye din bahaar ke
Ek fursat-e-gunaah milii, vo bhii chaar din
Dekhe haiN ham ne hausle parvar-digaar ke
Duniyaa ne terii yaad se begaanaa kar diyaa
Tujh se bhii dil-fareb haiN Gham rozgaar ke
Bhuule se muskuraa jo diye the vo aaj ‘Faiz’
Mat puuchh val-vale dil-e-naa-kardaakaar ke

Subscribe to:
Posts (Atom)